Tere sang yaara, khush-rang bahara
Tu raat deewani, main zard sitaara
O karam khudaaya hai, tujhe mujh se milaya hai
Tujh pe mar ke hi to, mujhe jeena aaya hai
O tere sang yaara, khush-rang bahara
Tu raat deewani, main zard sitaara
O tere sang yaara, khush-rang bahara
Main tera ho jaaun jo tu kar de ishara
Kahin kisi bhi gali mein jaaun main
Teri khushboo se takraaoon main
Har raat jo aata hai mujhe wo khwaab tu
Tera-mera milna dastoor hai
Tere hone se mujh mein noor hai
Main hoon soona sa ek aasman, mahtaab tu
O karam khudaaya hai, tujhe maine jo paaya hai
Tujh pe mar ke hi to mujhe jeena aaya hai
O tere sang yaara, khush-rang bahara
Tu raat deewani, main zard sitaara
O tere sang yaara, khush-rang bahara
Tere bin ab to na jeena gawara
Maine chhode hain baaki saare raaste
Bas aaya hoon tere paas re
Meri aankhon mein tera naam hai, pehchaan le
Sab kuch mere liye tere baad hai
100 baaton ki ek baat hai
Main na jaaoonga kabhi tujhe chhod ke, ye jaan le
O karam khudaaya hai, tera pyaar jo paaya hai
Tujh pe mar ke hi to mujhe jeena aaya hai
O tere sang yaara, khush-rang bahara
Tu raat deewani, main zard sitaara
O tere sang yaara, khush-rang bahara
Main behata musafir, tu thehra kinara