Chahe tum kuch na kaho, maine sun liya
Ke saathi pyaar ka mujhe chun liya, chun liya
Maine sun liya
Pehla nasha, pehla khumaar
Naya pyaar hai, naya intezaar
Kar loon main kya apna haal
Ae dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar tu hi bata
Pehla nasha, pehla khumaar
Udta hi phirun in hawaon mein kahin
Ya main jhool jaaun, in ghataon mein kahin
Udta hi phirun in hawaon mein kahin
Ya main jhool jaaun, in ghataon mein kahin
Ek kar doon aasmaan aur zameen
Kaho yaaron kya karoon, kya nahin
Pehla nasha, pehla khumaar
Naya pyaar hai, naya intezaar
Kar loon main kya apna haal
Ae dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar tu hi bata
Pehla nasha, pehla khumaar
Usne baat ki, kuch aise dhang se
Sapne de gaya wo hazaron rang ke
Usne baat ki, kuch aise dhang se
Sapne de gaya wo hazaron rang ke
Reh jaaun jaise main haar ke
Aur choome wo mujhe pyaar se
Pehla nasha, pehla khumaar
Naya pyaar hai, naya intezaar
Kar loon main kya apna haal
Ae dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar